MAI YA HUM?
MAI YA HUM ?
-Aashna
Aaj fir ek jhooth bol diya,
Aaj fir vo vada tord diya,
Aaj fir hum haar gaye,
Aaj fir tum par vaar gaye.
Ye kya haal ban chuka hai humara?
Khud he ruth kar khud he ko manaa rahe hain,
Unhi se naraaz hokar unki he tasveerein nihaar rahe hain,
Unhi se bhaag kar unhi ke sapnon me jaag rahe hain.
Koi naya sa hai mujhme,
Jo jaga bhi hai or soya bhi,
Haara bhi hai or roya bhi,
Maana bhi hai or khoya bhi
Tumhi se bhaag kar tumhi me rehna,
Tumhi se ruth kar tumhi se hona,
Kabhi bina hase hass dena,
Kabhi bina roye ro dena.
Pagalpan bhi hai,
Junoon bhi hai,
Awaarapan bhi hai ,
Sukoon bhi hai.
Hai to hai par ku hai kaise hai,
Kya hai jo mujhme hai par mujhe pata bhi nahi hai.
Kuch hai jo dhundlaa sa jata hai,
Koi hai jo dagmagaa sa jata hai.
Khudhi se ye rishta hai jo kisi or se nibha rahe hain,
Koi apna sa hai ya hum khud he khudko apna banaa rahe hain?
👏👏👏
ReplyDeleteNoice��
ReplyDeleteitni sari lines thak gya me to but it was worth to read it ❤️ #namuni😁
ReplyDeleteThat's not me , go little soldiers 👑
ReplyDelete👌
ReplyDelete