Posts

Showing posts from June, 2023

Badalta Zamaana

Badalta Zamana Vo maa ruthi hui thi, Vo papa badal se gye the,   Vo phool murjha chuke the, jinki khushboo se hum mahakte the. Vo khilone toot gye the, jinse hum khela krte the, vo log jaa chuke the, jinhe hum kabhi apna sahaara maante the. Kya log the vo,  kya vo guzra zamaana tha, kuch intazaar kar hum thak gye, kuch samay haar maana na. Vo dost ab jazbaati nhi the, jinki wafadaari ke kisse chalte the, vo log apne ban gye,  jinhe mile the kabhi kisi mord pe. Vo dost bhi yaad aate hain, vo waqt bhi yaad aata h, kya vo guzarta waqt tha, kya ye badalta zamaana hai. Vo pyaar badal gaya, kuch pyaar ke tareeke badal gye kuch hum badal gye or kuch tum badal gye....